dur tak rah gai hai tanhai khud-parasti ki ye saza pai ab to didar bhi mayassar kar jab ata ki hai mujh ko binai kya tera koi bhi nahin hai yahan tanz karti hai roz tanhai dusra ishq karke dekh liya ho na pai tumhaari bharpai kaun meri gali mein aaya hai kis ne sari faza hai mahkai masale baat kar ke hal hote aap khamosh ho gae bhai jab bhi khalwat mein sochta hun tujhe raqs karti hai meri tanhai jis ki khatir ujad gaya 'shiraaz' ab talak dil mein hai wo harjai