apnon hi pe hoti hai har mashq-e-jafa pahle ki chaak bahaaron ne phulon ki qaba pahle us ke liye utthe the go dast-e-dua pahle bimar ki qismat se aa pahunchi qaza pahle ab un ki jafaon ka kyon dahr se shikwa hai dali thi hamin ne to buniyaad-e-wafa pahle mahsus ye hota hai jaise kabhi dekha ho ai dost magar tujh ko dekha to na tha pahle bimar-e-mohabbat ke andaz batate hain tadbir-o-dawa aakhir taqdir-o-dua pahle kya fikr hai diwane mil jaenge phir wo bhi tu chaak-e-gareban ko daman se mila pahle 'shauq' us ke tajassus mein ye haal bhi guzra hai puchha hai zamane se apna hi pata pahle