dur tak raushni hai ghaur se dekh maut bhi zindagi hai ghaur se dekh un charaghon ke baad ai duniya kis qadar tirgi hai ghaur se dekh rahnumaon ka jazba-e-isar ye bhi ek rahzani hai ghaur se dekh dushmani ko bura na kah ai dost dekh kya dosti hai ghaur se dekh tark-e-tadbir-o-justuju ke baad zindagi zindagi hai ghaur se dekh gar ye shabnam ka rang laya hai har taraf tazgi hai ghaur se dekh hain tahayyur mein wo bhi ai 'akhtar' kya teri shairi hai ghaur se dekh