fasurda ho ke maikhane se nikle yahan bhi apne begane se nikle shafaq ka rang gahra kar gae aur jo shoale mere kashane se nikle zara ai gardish-e-dauran thaharna wo nikle rind maikhane se nikle gham-e-dil ka asar har bazm mein hai sab afsane us afsane se nikle kiya aabaad virane ko hum ne hamin aabaad virane se nikle jo pahunche dar tak mansur the wo hazaron rind maikhane se nikle nikalte hum na gham-khane se 'akhtar' hasin mausam ke bahkane se nikle