dur tak suni padi hai rahguzar dekhega kaun apni manzil hi nahin to rahbar dekhega kaun chandni ki bad-dua apna asar dikhla gai kis qadar tarikiyan hain chand par dekhega kaun jagti aankhon pe aakhir nind ghaalib aa gai ab tumhaara rasta bhi raat-bhar dekhega kaun apne ghar ka saz-o-saman hum ne girwi rakh diya hanste hanste zahar pine ka hunar dekhega kaun jaan ka khatra to hai hi jal bhi kamzor hai machhliyon ke shauq mein pani magar dekhega kaun ab ghazal ke nam par 'faruq' kuchh bhi pesh kar log sab masruf hain zer-o-zabar dekhega kaun