jo pahle zara si nawazish kare hai

jo pahle zara si nawazish kare hai
wahi phir shab-o-roz sazish kare hai

wo dhoke pe dhoka diye jae lekin
ye dil phir bhi us ki sifarish kare hai

kisi din mile wo khilaunon ki surat
mera dil bhi bachchon si khwahish kare hai

ye dil ka khalal jaan le kar rahega
masiha to be-kar koshish kare hai

main us ki ragon mein lahu ban ke daudun
wo mere badan mein rihaish kare hai

use pyas sahra ki bhati nahin hai
wo 'faruq' dariya pe barish kare hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close