dur the hosh-o-hawas apne se bhi begana tha un ko bazm-e-naz thi aur mujh ko khalwat-khana tha khinch laya tha ye kis aalam se kis aalam mein hosh apna haal apne liye jaise koi afsana tha chhote chhote do waraq jal jal ke daftar ban gae dars-e-hasrat de raha tha jo par-e-parwana tha jaan kar warafta un ke chhedne ki der thi phir to dil ek hosh mein aaya hua diwana tha zau-fishan hone laga jab dil mein husn-e-khud-numa phir to kaba 'arzu' kaba na tha but-khana tha