meri hasti ka jalwon mein tere ru-posh ho jaana yahin to hai bas ek qatra ka dariya-nosh ho jaana tumhein kya gham mubarak ho tumhein ru-posh ho jaana hua jata hai afsana mera behosh ho jaana wahi samjhe hain kuchh kuchh zindagi-o-maut ka hasil jinhen aata hai jite ji kafan bar-dosh ho jaana ye achchhi ibtida ki aap ne ai hazrat-e-musa dam-e-didar ab lazim hua behosh ho jaana zamin ka zarra zarra aaina-dar-e-haqiqat hai kahin apne hi jalwon mein na tum ru-posh ho jaana bisat-e-dahr mein ghafil bhala jine ka hasil kya ki marna bhi jahan par ho wabaal-e-dosh ho jaana wo sar zanu pe un ke wo hawa zulf-e-moambar ki hamein to hosh se badh kar hai yun behosh ho jaana nazar aate hain ab jalwe hi jalwe har taraf mujh ko dalil-e-hoshiyari tha mera behosh ho jaana wo uthna jalwa-gah-e-naz ke parde ka nazron se wo mera dekhte hi dekhte behosh ho jaana kahin nakaam rah jae na zauq-e-justuju apna adam se bhi khayal-e-yar ham-aghosh ho jaana guzar ja manzil-e-ehsas ki had se bhi ai 'afqar' kamal-e-be-khudi hai be-niyaz-e-hosh ho jaana