duri mein kyun ki ho na tamanna huzur ki manzil ko meri qurb se nisbat hai dur ki furqat ne us ki wasl ki tashwish dur ki taskin nahin hai yun bhi dil-e-na-subur ki musa ke sar pe panw hai ahl-e-nigah ka us ki gali mein khak udi koh-e-tur ki kahta hai anjuman ko teri khuld muddai is bul-hawas ke dil mein tamanna hai hur ki waiz ne mai-kade ko jo dekha to jal gaya phaila gaya charand sharab-e-tahur ki musa ko kyun na mauj-e-tajalli dhakel de jalwe se us ke gul hui mashal shuur ki arbab-e-waqt jaante hain rozgar ne ki sahw se wafa to talafi zarur ki ruswaiyon ka hausla ghat ghat ke badh gaya saman hai khamushi meri shor-e-nushur ki mel aasman ka su-e-zamin be-sabab nahin zer-e-qadam jagah hai sar-e-pur-ghurur ki us se na miliye jis se mile dil tamam umr sujhi hamein bhi hijr mein aakhir ko dur ki pamal kar raha hai siyah-roziyon ka josh mitti kharab hai mere kalabe mein nur ki kya ek qurb-e-ghair ka sadma na pochhiye hain dil ke aas pas bala dur dur ki mazmun mere udae 'qalaq' sab ne is qadar sunta hun main tarana zabani tuyur ki