sare manzar dilkash the har baat suhani lagti thi jiwan ki har sham hamein tab ek kahani lagti thi jis ka chand sa chehra tha aur zulf sunahri baadal si mast hawa ka aanchal thame ek diwani lagti thi apne khwab nae lagte the aur phir un ke aage sab duniya aur zamane ki har baat purani lagti thi pyar ke mausam ki khushbu se ghuncha ghuncha mahka tha mahki mahki duniya sari raat ki rani lagti thi lamhon ke rangin ghubare hath se chhute jate the mausam dukh ka dard ki rut sab aani-jaani lagti thi qaus-e-quzah ki barish mein ye jazbon ki munh zor hawa mauj udate bal khate dariya ki rawani lagti thi ab dekhen to dur kahin par yaadon ki phulwari mein rangon se bharpur faza thi jo lafani lagti thi