duriyan simatne mein der kuchh to lagti hai ranjishon ke mitne mein der kuchh to lagti hai hijr ke dorahe par ek pal na thahra wo raste badalne mein der kuchh to lagti hai aankh se na hatna tum aankh ke jhapakne tak aankh ke jhapakne mein der kuchh to lagti hai hadisa bhi hone mein waqt kuchh to leta hai bakht ke bigadne mein der kuchh to lagti hai khushk bhi na ho pai raushnai harfon ki jaan-e-man mukarne mein der kuchh to lagti hai fard ki nahin hai ye baat hai qabile ki gir ke phir sambhalne mein der kuchh to lagti hai dard ki kahani ko ishq ke fasane ko dastan banne mein der kuchh to lagti hai dastaken bhi dene par dar agar na khulta ho sidhiyan utarne mein der kuchh to lagti hai khwahishen parindon se lakh milti-julti hon dost par nikalne mein der kuchh to lagti hai umr-bhar ki mohlat to waqt hai taaruf ka zindagi samajhne mein der kuchh to lagti hai rang yun to hote hain baadalon ke andar hi par dhanak ke banne mein der kuchh to lagti hai un ki aur phulon ki ek si ridaen hain titliyan pakadne mein der kuchh to lagti hai zalzale ki surat mein ishq war karta hai sochne samajhne mein der kuchh to lagti hai bhid waqt leti hai rahnuma parakhne mein karwan banne mein der kuchh to lagti hai ho chaman ke phulon ka ya kisi pari-wash ka husn ke sanwarne mein der kuchh to lagti hai mustaqil nahin 'amjad' ye dhuan muqaddar ka lakdiyan sulagne mein der kuchh to lagti hai