qadam qadam pe naya imtihan hai mere liye ye shahr aaj bhi ek haft-khwan hai mere liye nahin hai ab koi ehsas-e-roz-o-shab bhi mujhe bas ek arsa-e-paikar-e-jaan hai mere liye na rahguzar-e-shajar-dar hai na aab-o-sahab ye tez dhup ye sahra-e-jaan hai mere liye main ek sitara hun us ke falak se tuta hua wo dhund hoti hui kahkashan hai mere liye samet leti hai mujh ko main tuta-phuta sahi ye raat khirqa-e-awargan hai mere liye mahakte rahte hain khwabon mein hijraton ke gulab nai zamin naya aasman hai mere liye ubur karna hai dariya-e-shor mujh ko 'kamal' aur ek kashti-e-be-baadban hai mere liye