duriyon mein qarabaton ka maza lije lije mohabbaton ka maza kuchh maza barishon ki shorish ka kuchh tapakti hui chhaton ka maza ho gai na tabah khud-dari le liya na riayaton ka maza ek muhajir hi jaan sakta hai kaisa hota hai hijraton ka maza dhup ja-e-qarar sayon ki har bagula masafaton ka maza bhuk aur pyas zat ki lazzat faqa-masti qanaaton ka maza jaise sajde mein qatl ho koi aisa hota hai chahaton ka maza maut hai zindagi ki kamzori jaan-kani apni quwwaton ka maza ishq hota hai tab hi jab 'mohsin' muntaqil ho tabiaton ka maza