aa ja andheri raaten tanha bita chuka hun shamen jahan na jaltin aankhen jala chuka hun khurshid-e-sham-e-rafta laute to us se puchhun main zindagi ki kitni subhen ganwa chuka hun ummid-o-bim-e-shab ne ye bhi bhula diya hai kitne diye jalae kitne bujha chuka hun main baz-gasht-e-dil hun paiham shikast-e-dil hun wo aazma raha hun jo aazma chuka hun ye shab bujhi bujhi hai shayad ki aakhiri hai ai subh-e-dard tere nazdik aa chuka hun mujh ko fareb mat de ai mausam-e-bahaaran aise kai shagufe main bhi khila chuka hun suraj tulua hon ya suraj ghurub 'sahba' shab-ha-e-gham ke parde khud par gira chuka hun