durun-e-chashm nai chashm-e-tar banana hai

durun-e-chashm nai chashm-e-tar banana hai
ki aankh ko hi mohabbat ka ghar banana hai

hamare gham ka mudawa na kar sake ye din
sukut-e-shab ko hi ab chaaragar banana hai

ai 'ishq aur guzar apne imtihan se hamein
ye zist aur abhi kargar banana hai

ayan ho hijr ka gham aisa ek naqshe mein
bana na paya abhi tak magar banana hai

wo jis ka naqsh-e-kaf-e-pa hai rahguzar 'amir'
usi ke 'ishq ko zad-e-safar banana hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close