dushman mere pichhe hai to dariya mere aage

dushman mere pichhe hai to dariya mere aage
ab koi bacha hi nahin rasta mere aage

tauhin na kar tu meri ghurbat ki sar-e-am
mat phenk hiqarat se ye sikka mere aage

main sach ka taraf-dar tha wo jhut ka hami
ta-der bhala kaise thaharta mere aage

ghere hain abhi mujh ko zamane ke masail
mat chhed abhi ishq ka qissa mere aage

ehsan kiya jis pe usi ne mujhe luta
lo aa gaya neki ka natija mere aage

ai waqt ke munsif ye tujhe zeb nahin hai
mat padh kisi zalim ka qasida mere aage

duniya-e-mohabbat ka main darwesh hun yaro
ek roz jhukega ye zamana mere aage

taslim karun kaise bhala us ki badai
'tabish' to hua hai abhi paida mere aage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close