dushman pe rakh ke dete ho gali itab mein hai har sukhan zaban pe tumhaari hijab mein bahr-e-jahan mein zist na ho kyon habab-war nuqton hi ka hai farq hayat-o-habab mein aankhen ye aashiqon ki hain tujh par lagi huin chhape nahin hain ye gul-e-nargis naqab mein hum aabkhura-e-khum-e-mai ki tarah asas dube rahen mudam gale tak sharab mein baad-e-fana bhi shahsawar-e-samand-e-naz hazir hain misl-e-reg-e-rawan hum rikab mein dozakh-nasib mardum-e-abi ko ho abhi tapke jo ashk-e-garm koi apna aab mein har-dam rawa-rawi mein hai ye tausan-e-habab har-waqt apna panw hai goya rikab mein dariya ka nam shor se mansub ho gaya dhoya jo tum ne lal-e-namak sa ko aab mein 'sabir' faqat sukhan mein hai ab lutf-e-ashiqi har baat ka maza tha shurua-e-shabab mein