garan hai zoaf jab hum ko hansi mein wo udate hain to misl-e-gard uth kar khak par hum baith jate hain kaf-e-afsos ka malna hai apni shoabada-bazi jigar ki aag ko hathon se mal mal kar bujhate hain sikhai un ko khallaqi payam-e-wasl ne mere nai surat ka wo har dam naya hila banate hain khuda ki shan hai ranjish bhi apni un ko zinat hai ki jab wo dekhte hain hum ko apna munh banate hain nahin uthti kisi ki baat ye nazuk mizaji hai tajjub hai wo har dam kis tarah fitna uthate hain ghiza chhutne ka meri jab kisi se zikr sunte hain to kahte hain ki wo dhoke mere hathon se khate hain nikala hai unhon ne kis maze ka zikr ai 'sabir' adu ko galiyan dete hain aur mujh ko sunate hain