dushman se ittihad ke chakkar mein pad gaya har dost ab mafad ke chakkar mein pad gaya thodi jagah mili jo kisi kakh-e-husn mein dil sari jaidad ke chakkar mein pad gaya karta raha gurez jo ek umr wasl se ab lams ke swad ke chakkar mein pad gaya ek husn-e-shandar pe kaamil ghazal ke baad shair nae mawad ke chakkar mein pad gaya yaksaniyat chhalakne lagi us ke sher se jo shakhs infirad ke chakkar mein pad gaya patti tassubaat ki bandhi jo ghair ne apnon se hi jihad ke chakkar mein pad gaya achchhe sukhan ka lutf nahin le saka 'qamar' naqqad jab inad ke chakkar mein pad gaya