jaisi hai badan mein gul-rukh ke waisi hi nazakat baaton mein honton mein hai jitni shirini utni hi halawat baaton mein kya khub tawazun chalne mein kya khub latafat hansne mein kya khub adaon mein shokhi kya khub shararat baaton mein aankhon mein hai nashsha sa chhaya rukhsar hue surkhi mail honton pe larazte hain arman pur-kaif hararat baaton mein zinat ka tariqa kya kahne fashion ka saliqa kya kahne aadab ki rangat kaamon mein ashaar ki nikhat baaton mein betab hain jis ko sunne ko wo baat na laenge lab par mashur wo rakkhenge phir bhi aisi hai nafasat baaton mein parwaz mein hasti ki hum ko kitni hi bulandi ho hasil aae na mizajon mein shekhi aae na raunat baaton mein hal sare masail ho jaen aapas ki kudurat mit jae ho jhut se sab ko be-zari ho rang-e-sadaqat baaton mein is daur ke shaer mein logo tahzib o shuur o soz kahan mear wahi hai sheron ka jaisi hai jihaalat baaton mein 'jawed' ajab ahbab tere karte hain ye zaea waqt tera hain ilm se koson dur magar phir bhi hai tawalat baaton mein