dushmani hai use mujhse to nibhane aae

dushmani hai use mujh se to nibhane aae
phul dene na sahi zakhm lagane aae

apni galiyon mein hamein apna makan mil na saka
aaj hum laut ke jab apne thikane aae

dawedaron se use thi bahut ummid magar
qarya-e-gham mein hamein khak udane aae

aish ke rang kisi ko bhi mile hon lekin
mere hisse mein to khushiyon ke fasane aae

hum ne dil khol ke haq baat kahi jab bhi kahi
uzr aaya na siyasat ke bahane aae

ek be-nam udasi hai dil-o-jaan pe muhit
aisa lagta hai ki phir gham ke zamane aae

khauf-e-jaan chhod diya us se ye kah dije 'niyaz'
apni tahzib-o-zaban jo bhi mitane aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close