hamare dast-e-saKHa kasa-e-gadai hain

hamare dast-e-sakha kasa-e-gadai hain
jo rahnuma the wo muhtaj-e-rahnumai hain

jo mil bhi jae to kaise uthaenge talwar
ye bad-nasib to tuti hui kalai hain

harif jo bhi hain wo sab ke sab muqabil hain
jo war karte hain pichhe se apne bhai hain

bas ek nam ki tasbih roz-o-shab padhna
mujhe ye lagta hai ye dhadkanen parai hain

ye aap hi ki nawazish hai mehrbani hai
hamari palkon pe jo shamen jagmagai hain

main muntazir tha bahaaron ke lautne ka magar
mere dukhon ki ruten phir se laut aai hain

kahin bichhadne ki saat qarib hi to nahin
'niyaz' aankhen achanak jo dabdabai hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close