dusra kinara bhi be-wafa kinara hai ab to dub jaana hi aakhiri sahaara hai main utar nahin sakta dusre kinare par dusra kinara to dusra kinara hai mujh pe ab mohabbat mein zahr pina wajib hai main ne dil nahin haara hausla bhi haara hai aasman ki wusat mein jaane ab kahan hoga wo jo meri qismat ka be-khabar sitara hai waqt ki adalat ka faisla yahi hai ab main bhi ek khasara hun tu bhi ek khasara hai dusre kinare par ye khabar hui mujh ko wo to is kahani mein tisra kinara hai main ne tere hisse ke ratjage bhi kate hain main ne tere hisse ka qarz bhi utara hai