apna hi kirdar rad karta hua main kahani mustanad karta hua ek naya naqsha bana laya hun main shahr ko sahra ki had karta hua sharh dil ki likh raha hun main nai har purani soch rad karta hua ishq likkhega nae erab ab mere dil ko shadd-o-mad karta hua is tarah se mustanad hota gaya ek qalandar khud ko rad karta hua aur phir diwar mein dar ho gaya ishq yun meri madad karta hua