dusra rukh nahin jis ka usi taswir ka hai masala bhule hue khwab ki tabir ka hai chand qadmon se ziyaada nahin chalne pate jis ko dekho wahi qaidi kisi zanjir ka hai jo bhi karna hai faqat dil ki tasalli ke liye waqt tahrir ka hai aur na tadbir ka hai tum mohabbat ka use nam bhi de lo lekin ye to qissa kisi haari hui taqdir ka hai ye jo chalne nahin pate teri jaanib dar-asl jaldi jaldi mein kahin dar hamein takhir ka hai bilkul aise mujhe hasil hai himayat sab ki har koi jaise taraf-dar yahan hir ka hai