jab mukhalif mera raaz-dan ho gaya raaz-e-sar-basta sab par ayan ho gaya mujh ko ehsas-e-sharmindagi hai bahut qissa-e-dard kaise bayan ho gaya kitni hasrat se takti rahi har khushi aur daman mera dhajjiyan ho gaya masala ban gai fikr tafhim ka lafz ka husn bhi raegan ho gaya log ye soch ke hi pareshan hain main zamin tha to kyun aasman ho gaya shikwa-sanjaan-e-tanhai hain sab ke sab mera gham bhi gham-e-do-jahan ho gaya ped kya mere aangan ka 'akhtar' gira log samjhe ki main be-aman ho gaya