dusri baaton mein hum ko ho gaya ghata bahut warna fikr-e-sher ko do waqt ka aata bahut kaenat aur zat mein kuchh chal rahi hai aaj kal jab se andar shor hai bahar hai sannata bahut aarzu ka shor barpa hijr ki raaton mein tha wasl ki shab to hua jata hai sannata bahut hum se to ek sher sun kar falsafi chup ho gaya lekin us ne be-zaban naqqad ko chata bahut dil ki baaten dusron se mat kaho lut jaoge aaj kal izhaar ke dhandhe mein hai ghata bahut