mujh mein ab nahin baqi hausla bichhaDne ka

mujh mein ab nahin baqi hausla bichhadne ka
multaji hun dena mat indiya bichhadne ka

is se badh ke kya hota zindagi ke daman mein
ek gham hai hone ka dusra bichhadne ka

pyar aur tawaqqoa ke silsile na badh jaen
is jagah munasib hai sochna bichhadne ka

aap ki suhulat bas hum aziz rakhte hain
mang lo ata hoga rasta bichhadne ka

har milan judai ki awwalin manzil hai
wasl hi se judta hai silsila bichhadne ka

be-sukun shamon se be-yaqin subhon tak
tai hua hai aakhir har marhala bichhadne ka

bhanp to gae the hum sath aarzi hai ye
jaan-e-man magar phir bhi dukh hua bichhadne ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close