dusron ki aankh le kar bhi pashemani hui ab bhi ye duniya hamein lagti hai pahchani hui ashk ki be-rang kheti muddaton mein lahlahai pahle kitna qaht tha ab kuchh farawani hui khud ko hum pahchan pae ye bahut achchha hua jism ke haijaan mein ruhon ki uryani hui main to ek khushbu ka jhonka tere daman ka hi tha bu-e-gul se aa mila kyun tujh ko hairani hui us ka bazar-e-hawas mein qadar-dan hi kaun tha jins-e-dil ki phir yahan kyun itni arzani hui