pahle to aati thin iden bhi tumhaare aae khairiyat ab ke tum aae to akele aae teri be-sakhta hairani kahan hai ai dost hum to aatish kahin indhan ke ewaz de aae ab to rahzan hi koi roke to malum pade rahnuma kaise ujadon mein hamein le aae hum to yak-rang ujale se hi mashur rahe raushni tujh mein ye sat-rang kahan se aae hum ne bechi thin jahan ninden usi mandi se teri aankhon ke liye khwab suhane aae