dusron mein nikale hai wo khamiyan dekh lo kis qadar us mein hain khubiyan hum ne jin ke sabhi gham khushi se liye dekhte hi rahe wo to sud-o-ziyan khub se khub-tar aap hone lage mand padne lagin sari ranaiyan aarzi pyar apnon se bhi kyon agar ghair se aap ko ishq hai jawedan rahbar se gila be-sabab be-asar jab muqaddar mein thin apne gumrahiyan chain se ji raha hoga wo bhi kahan jis ne 'tahir' ko din itni be-chainiyan