ehsas-e-be-talab ka hi ilzam do hamein ruswaiyon ki bhid mein inam do hamein khuddariyon ki dhup mein aaram do hamein saughat mein hi gardish-e-ayyam do hamein ehsas-e-lams jism ki is bhid mein kahan kali ruten gunah ka paigham do hamein gum-sum hisar-e-rabt mein hai lamha-e-azab khwahish ka karb fitrat-e-badnam do hamein be-zariyon ko dasht-e-nafas mein samet kar dard-ashna junun ke ahkaam do hamein dasht-e-sarab-e-sang hai mazi ka iztirab gar ho sake to mustaqil aaram do hamein saughat mein mili hai mujhe raegan shafaq kis ne kaha hai is ka bhi ilzam do hamein yaadon ka ek hujum hai ai 'rind' aur hum fursat nahin hai in dinon aaram do hamein