sans lije to bikhar jate hain jaise ghunche

sans lije to bikhar jate hain jaise ghunche
ab ke aawaz mein bajte hain khizan ke patte

chadhte suraj pe paden sae hum aawaron ke
wo diya ab ke hatheli pe jala kar chaliye

sham ko ghar se nikal kar na palatne wale
dar-o-diwar se sae tere rukhsat na hue

bewafa kah ke tujhe apna bharam kyun kholen
ai subuk-gam hamin rah gae tujh se pichhe

wa ho aaghosh-e-mohabbat se jo tanhai mein
aisa lagta hai ki hum par koi suli utre

baat karte hain to gunj uthti hai aawaz-e-shikast
aur qadam rakkhen to galiyon ki zamin baj utthe

sadiyon mein bhi jo guzaren to na guzre yaro
hae wo lamha ki jis mein koi pyara bichhde

'hashami' ghar ke sutunon se lipat kar rona
be-nawai ke ye andaz kahan the pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close