ehsas-e-be-zaban ki latafat isi mein thi

ehsas-e-be-zaban ki latafat isi mein thi
main ne kaha na kuchh ki mohabbat isi mein thi

ye shahar jis mein nam kamana muhaal tha
hum guftugu-e-shahr the shohrat isi mein thi

waise to dil ke tutne ka kuchh nahin malal
lekin tere jamal ki surat isi mein thi

achchha hua ki dekhne aaya na wo hamein
chehre pe pat-jhadon ki bhi izzat isi mein thi

yaran-e-kam-nigah use dekhte bhi kya
ye sadgi ki sari qayamat isi mein thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close