gham to ye bhi hai ki taqdir bhi roi barson hae wo zulf-e-girah-gir bhi roi barson dil kisi saat-e-giryan ka nawishta jis ki hui tafsir to tafsir bhi roi barson aabdida bhi tha main naqsh ba-diwar bhi tha mujh ko dekho ki ye taswir bhi roi barson us ko bhi karna padi dasht-nawardi kya kya panw pad kar mere zanjir bhi roi barson