ehsas-e-husn ban ke nazar mein sama gae go lakh dur the wo magar pas aa gae ek raushni si dil mein thi wo bhi nahin rahi wo kya gae charagh-e-tamanna bujha gae dair o haram hai aur to hasil na kuchh hua sajde ghurur-e-ishq ki qimat ghata gae tanha-rawi mein yun to musibat thi har qadam hum ahl-e-karwan se to pichha chhuda gae kitna fareb-kar hai ehsas-e-bandagi hum manzil-e-khudi se bahut dur aa gae ulfat mein fikr-e-zist nadamat ki baat thi achchhe rahe jo jaan ki bazi laga gae jo haal un ka tha wo hamin jaante hain 'arsh' yun wo hamari baat hansi mein uda gae