dil-e-fasurda pe sau bar tazgi aai magar wo yaad ki ja kar na phir kabhi aai chaman mein kaun hai pursan-e-haal shabnam ka gharib roe to ghunchon ko bhi hansi aai nawed-e-aish se bhi lutf-e-aish mil na saka libas-e-gham hi mein aai agar khushi aai kisi tarah bhi zamane ko bas mein kar na sake na dosti na hamein ras dushmani aai ajab na tha ki gham-e-dil shikast kha jata hazar shukr tere lutf mein kami aai zamana hansta hai mujh par hazar bar hanse tumhaari aankh mein lekin ye kyun nami aai diye jalae umidon ne dil ke gird bahut kisi taraf se na us ghar mein raushni aai hazar did pe pabandiyan thin parde the nigah-e-shauq magar un ko dekh hi aai