ehsas-e-ishq dil ki panahon mein aa gaya baadal simat ke chand ki bahon mein aa gaya izhaar-e-ishq main ne kisi se nahin kiya aur be-sabab jahan ki nigahon mein aa gaya wo muskura ke dekh rahe hain meri taraf itna asar to ab meri aahon mein aa gaya kya puchhte ho azm-e-safar ki karamaten manzil ka naqsh khud meri rahon mein aa gaya hain ibtidai marhale ye ishq ke abhi 'sahil' ye soz kyun teri aahon mein aa gaya