aag ke sath main bahta hua pani sunna raat-bhar apne anasir ki sunani sunna dekhna roz andheron mein shuaon ki numu pattharon mein kisi dariya ki rawani sunna wo sunaengi kabhi meri kahani tum ko tum hawaon se kabhi meri kahani sunna meri khamoshi meri mashq hai is mashq mein tum mar kar tir meri tishna-dahani sunna umr na-kafi hai is hijrat-e-awwal ke liye phir janam lun to meri hijrat-e-sani sunna kam-sini par hai ajab haal tumhaara yaro sun lo aasan nahin us ki jawani sunna git mere jo pasand aate hain itne tum ko inhin giton ki kabhi marsiya-khwani sunna kya naya tum ko sunaun ki naya kuchh bhi nahin nae lafzon mein wahi baat purani sunna