ehsas-e-ziyan hum mein se akasr mein nahin tha is dukh ka mudawa kisi patthar mein nahin tha wo shakhs to shab-khun mein mara gaya warna us jaisa bahadur koi lashkar mein nahin tha ab khak hua hun to ye ahwal khula hai shoale ke siwa kuchh mere paikar mein nahin tha ye waqia mera tha ki tha saneha mera main apne hi ghar mein tha magar ghar mein nahin tha har ishq ke manzar mein tha ek hijr ka manzar ek wasl ka manzar kisi manzar mein nahin tha