is mariz-e-gham-e-ghurbat ko sambhaala de do zehn-e-tarik ko yaadon ka ujala de do hum hain wo log ki beqaum watan kahlae hum ko jine ke liye koi hawala de do main bhi sach kahta hun is jurm mein duniya walo mere hathon mein bhi ek zahr ka piyala de do ab bhi kuchh log mohabbat pe yaqin rakhte hain ho jo mumkin to unhen des nikala de do wo nirale hain karo zikr tum un ka 'danish' apni ghazlon ko bhi andaz nirala de do