ehsas ki ragon mein utarne laga hai wo ab bund bund mujh mein bikharne laga hai wo gumnamiyon ki andhi guphaen hon nauha-khwan manind-e-aftab ubharne laga hai wo kaise kahun ki gham hua khwabon ki bhid mein zakhmon ka indimal to karne laga hai wo ek harf-e-atishin bhi nahin us ke hont par lagta hai lahza lahza thithurne laga hai wo imkan ki hadon se guzarne ke baad kyun ab reza reza ho ke bikharne laga hai wo utra tha meri ruh ke rauzan se jo kabhi ghut ghut ke mere jism mein marne laga hai wo