ek aaftab ka rang ek mahtab ka rang mila ke dhaala gaya hai tere shabab ka rang numayan jism hai aur shokh hai naqab ka rang badal raha hai zamane mein ab hijab ka rang mili nazar jo meri dafatan sar-e-mahfil haya se rukh pe tere aa gaya gulab ka rang nikal pade hain jo jugnu liye hue qindil utar gaya hai tabhi se is aaftab ka rang suna hai takht larazte hain taj hilte hain jo hum ghazal mein milate hain inqalab ka rang saliqa zist ko jine ka hum ne sikha hai saron pe jab se chadha hai teri kitab ka rang wo pahle pahle se tewar hawa hue dekho uda uda sa hai kuchh din se ab janab ka rang kisi ke sar pe chadha rang 'mir'-o-'ghaalib' ka kisi ke sar pe chadhega kabhi 'shahab' ka rang