aaj tak bahka nahin bahar se diwana tera hausle meri nigahon ke hain paimana tera raat bhar shabnam ki aankhon se sahar ki mang mein main jise likhta raha wo bhi tha afsana tera ye tere dariya salamat ye tere baadal ba-khair lut rahe hain khum pe khum sabit hai mai-khana tera aansuon ki aab-e-ju hail hai warna laun main meri nazron ka sharar aankhon ka khas-khana tera dil mein dhadkan ki tarah sanson mein khushbu ki tarah ab khayalon mein bhi kab aata hai wo aana tera awwal awwal to tamazat dopahar ke dasht ki aakhir aakhir apni nazron ko jhuka jaana tera reza reza kar gai patthar ko bhi shabnam ki chot hae kis dil se magar wo mujh ko samjhana tera