ek aag si sine mein din raat sulagti hai aa jae koi sawan khwahish ye machalti hai shabnam ki haqiqat kya shab bhar ki kahani hai ud jate hain pal-bhar mein jab dhup nikalti hai us bund ki azmat ko kya ahl-e-sitam jaanen ek bund jo aansu ki aankhon se tapakti hai jal jate hain parwane masum si chahat mein ye dekh ke shama bhi chup-chap sisakti hai munh-zor hawaen bhi kya us ka bigadengi rahti hai salamat wo jo shakh lachakti hai