ek aalam-e-hairat hai fana hai na baqa hai hairat bhi ye hairat hai ki kya jaaniye kya hai sau bar jala hai to ye sau bar bana hai hum sokhta-jaanon ka nasheman bhi bala hai honton pe tabassum hai ki ek barq-e-bala hai aankhon ka ishaara hai ki sailab-e-fana hai sunta hun bade ghaur se afsana-e-hasti kuchh khwab hai kuchh asl hai kuchh tarz-e-ada hai hai tere tasawwur se yahan nur ki barish ye jaan-e-hazin hai ki shabistan-e-hira hai