ek aalam ne jubba-sai ki ai buto tum ne bhi khudai ki aashiqon ke lahu ki pyasi hain machhliyan us kaf-e-hinai ki zulf-e-pur-pech se jo dil uljha bich mein rakh pada safai ki murgh-e-be-baal-o-par hun ai sayyaad aarzu hai kisi rihai ki ai junun dasht ko chalenge hum hai qasam is barahna-pai ki sar juda hum ne apna kar dala aai jab guftugu judai ki phir gaya yar ghar ke pas aa kar bakht-e-bargashta ne burai ki saikdon jame tujh pe phatte hain dhum hai teri mirzai ki tujh se to hum ko ai kham-e-abru thi na ummid kaj-adai ki koi qatil ki rah bhula tha ai ajal tu ne rahnumai ki dil kahin aur hum ne atkaya be-wafaon se bewafai ki na gai zahidon ke pas kabhi dukhtar-e-raz ne parsai ki shahr mein jaegi meri pa-posh qadr wan kya barahna-pai ki saf hai aaina tan-e-pur-nur hai dalil us pe khud-numai ki kasa-e-mah kyun na ho pur-nur barson us kuche ki gadai ki kaba-e-dil mein bhi maqam kiya ai buto tum ne kya rasai ki khat ke aane pe bhi mukaddar hai surat ab kaun si safai ki baal-o-par bhi gae bahaar ke sath ab to surat nahin rihai ki kis ke kuche ki rah bhula hun khizr ne bhi na rahnumai ki shah kahlae har tarah se 'wazir' baadshahi na ki gadai ki