ezar-e-yar pe zulf-e-siyah-fam nahin magar ye hashr ka din hai ki jis ki sham nahin firaq-e-yar mein dono se hum ko kaam nahin hawas sahar ki nahin aarzu-e-sham nahin wila-e-kaba-e-abru se munh ko kya pherun namaz khatm na ho jab talak salam nahin ye saif aap ki misl-e-pari-sahi-qad hai magar ye aib hai chalti nahin khiram nahin kaho na sarw ko ek zar-kharid hi apna kiya jo bande ko aazad phir ghulam nahin nahin iada-e-taat ko peshwa darkar qaza namaz ko kuchh hajat-e-imam nahin kisi tarah shab-e-furqat basar nahin hoti kuchh is ko gardish-e-ayyam se bhi kaam nahin jo us ne baat na ki ho gaya mujhe isbaat dahan wo tang hai gunjaish-e-kalam nahin bujhi hai aab se kya teri tegh-e-tez ki aanch ki khunfishan mere dil ka kabab-e-kham nahin phiri hai furqat-e-jaanan mein chashm-e-dukhtar-e-raz ye gardish aankh ki saqi hai daur-e-jam nahin na dekha naqsh qadam ka sada-e-pa na suni samand-e-umr sa koi subuk khiram nahin barahna rahti hai shamshir-e-abru-e-qatil misal-e-tegh-e-ajal hajat-e-niyam nahin bandhen wo hath hina se kiya hai jin se shahid kuchh aur yar se manzur intiqam nahin na dagh do shab-e-furqat ka din ko nam na lo abhi charagh na raushan karo ki sham nahin jigar se sine se dil se guzar gai dam mein teri tarah teri talwar ko qayam nahin sitara-e-falak-e-husn kahiye kam-sin hai abhi wo chand ka tukda mah-e-tamam nahin phire talab mein jo duniya ki wo nahin din-dar misal-e-dana jo gardish mein hai imam nahin na khatt-e-mushaf-e-ariz ka mo'taqid ho 'wazir' huruf jis mein hon allah ka kalam nahin