ek aalam us ko rota hi raha 'akbar' apni nind sota hi raha main na samjha sard-o-garm-e-rozgar umr bhar in ko samota hi raha mere armanon ki kasrat dekhna aasman ko uzr hota hi raha nafa aur nuqsan-e-hasti kya bataun is qadar paya ki khota hi raha mere dil mein un ke mizhgan ka khayal ek barchhi si chubhota hi raha hirs-e-jannat din-ba-din badhti gai muft zahid umr khota hi raha hum umid-e-wasl par jite rahe ahd pura un ka hota hi raha kucha-e-saffak kab khali raha ek na ek ka khun hota hi raha jo hunar 'akbar' ne yan paida kiya aasman us ko dubota hi raha