gul-o-gauhar to kya har shai mein hai jalwa ayan tera khudaya be-nishan ho kar mila hum ko nishan tera tere abr-e-karam se parwarish makhluq pati hai ilahi ja-ba-ja hai faiz ka dariya rawan tera pukara dair mein naqus se tujh ko barahman ne haram mein nam zahid ne liya waqt-e-azan tera teri rahmat ka langde aur lulon ko sahaara hai ilahi nam-e-ali hai asa-e-na-tawan tera sharar patthar se jab nikla to hum ko ye hua sabit ki har zarre mein pinhan ho gaya husn-e-nihan tera fana ho jaane wale kar-khane hain zamane ke rahega nam baqi khaliq-e-kaun-o-makan tera teri maujudgi har shai mein juzw-o-kul se sabit hai magar hasrat hai phir bhi to nahin milta nishan tera karam ai abr-e-rahmat tishnigan-e-ab-e-ulfat par madad a mauj-e-shafqat jaan-ba-lab hai nim-jaan tera gunah sab bakhsh dena lutf se 'akbar' ke mahshar mein bharosa hai ise ai malik-e-har-do-jahan tera